Ek Din Achanak Part 37
Ab jaisa aap logon ko pata hai ki Sourav is dhande mein naya naya aaya tha. Seedha saadha banda tha aa gaya kisi ke behkaave mein aur kuch paison ki tangi ke kaaran wo is jurm ki duniya mein pravesh kar gaya tha. Bas fir kya tha Sourav ne apni cycle uthai aur chal diya ladki ki photo jeb mein daalke kidnap karne.
Idhar Jay Jawed ke gale lagkar bahut khus tha. Dono dost aise mil rahe the jaise pata nahin kitne janam se bichde ho aur ab jaakar mile ho. Dono ne apni aap-beeti ek dusre ko sunayi aur Jawed ne Jay ko apne jurm mein shaamil hone ki daastan bhi suna di. Jay ye sab sunkar chaunk gaya kyunki jo shaksh dusron ko nasihatein deta tha ki jurm ka raasta kitna bura hai aaj wo khud us par chal nikla hai.
Lekin halaat kis se kab kya karwa de koi nahin jaanta.
Idhar Sourav pahunch gaya college ke paas aur ek cold drinks and juice corner ki shop par pahunch gaya garmi se nijat paane aur college ka pata poochne.
Sourav: Bhaiya ek cold drink khilao. Kitne ka hai.
Ankit (Dukaan wale ka naam): Apni hansi rokte huye 25 rupee ka hai babu
Sourav: Tum to jyada bolti hai. Hamare yahan to 15 ka hoti hai
Ankit: Bhai ye area jahan tum khade ho VIP area hai, yahan 15 rate wali cheez 25 ki hi milti hai.
Sourav: Tum to lootte ho. Acha ye address batao kidhar hai.
Ankit: Ajeeb gonchu hai. College ke saamne khada hai aur college ka address pooch raha hai.
Sourav: Bhai tum bataya nahin.
Ankit: Abe Gadhe ye saamne kya MCD ka sulabh sauchalaya najar aa raha hai tujhe
Sourav: Odi baba. Hum to idhar dekha hi nahin. Thank you.
Ankit: Thankyou baad mein pehle 100 rupees nikal.
Sourav: wo kis baat ka bhai. Main to cold drink bhi nahin khayi
Ankit: 50 Rs. pata batane ka aur 50 Rs. pate par pahuchane ka
Sourav: Idhar iska paisa bhi lagta hai.
Ankit: (Man hi man haste huye) Haan iska paisa lagta hai aur ab jyada sawal kiye to uska bhi paisa lunga.
Sourav: Lekin tum mujhe kidhar pate tak pahuchaya hai sirf bataya to hai.
Ankit: Chal theek hai to fir 50 Rs. hi de de. Aur dhandhe ka time hai to time khoti mat kar aur yahan se nikal le.
Sourav khush ki dukanwaale se itne saare sawal ke jawab bhi pooch liye aur wo bhi free mein. Bas usne dukanwale ko 50 Rs. diye. Aur wo pahunch gaya apni cycle uthake college ke gate ke paas aur intezar karne laga ki kab Diya aur Riya aaye aur wo use kidnap kare.
Lekin wo ek baat ko lekar confused tha ki kidnap kise kare kyunki cycle par wo kisi ek ko hi bitha sakta tha. Agar galat ladki kidnap kar li to Sinha uski jaan le lega. Bas wo college ke saamne bani footpath ki railing par baith gaya aur kidnapping ka plan banana laga.
Idhar Sourav kidnapping ka plan bana raha tha to udhar uski har gatividhi par ek aadmi najar rakhe huye tha. Wo aadmi pal pal ki khabar Sinha ko de raha tha. Sinha to pata tha ki ye ladka bevkuf hai aur ye kaam iske bas ki baat nahin hai lekin iski majboori dekhte huye Sinha ne ye kaam ise saunp diya tha.
Lekin saath hi ek aadmi ko ispar najar rakhne ke liye bhi tainat kar diya tha jo mauka dekhkar bigde khel ko sambhal sakta tha aur agar jarurat pade to Sourav ko bhi khatam kar sakta tha.
Usne haalaat ki jaankari Sinha ko di to Sinha ne turant sab action use apne haath mein lene ko kaha. Sinha ko pata tha ki wo jaroor koi na koi gadbad kar dega aur aise najuk mauke par wo itni dheel nahin de sakta tha.
Idhar us aadmi yaa yun kahiye us tej tarrar ladke ne intezar karna theek samjha taaki jab wo ladkiyan akeli ho Sourav ke saath to wo unka kidnap kar sake. Use Sourav ke upar bhi najar rakh rakhi thi ki kahin wo kuch gadbad na kar de.
Idhar Jawed Jay ko bata raha tha ki kaise ek accident mein uske ammi-abbu maare gaye aur unke upar musibaton ka pahad toot pada. Uski padhai choot gayi, hospital mein ilaaj ke liye paise na raha, ulta karz ho gaya lekin wo apne ammi-abbu ko bacha na saka.
Maa-baap ke marte hi sab rishtedaron ne muh mod liya. Sahi kehte hain ki jab tak aapke paas paisa hai aapke dost aur rishtedar bane rahenge lekin jahan paisa khatam wahan dosti, pyaar, rishtedari koi mayne nahin rakhti.
Jawed ke ghar par karzdaron ki line lagne lag gayi, uske paas ka saara saaman bik gaya, ghar girwi chala gaya, raaton ko aksar bhookha hi sona padta tha, sardi mein bina kambal ke thiturte huye raat bitana kaisa lagta hai ye wohi bata sakta hai jo in halaton se gujra ho.
Khana kabhi mila to kabhi nahin mila, rukhi sukhi jaisi mili kha li. Logon ki galiyan sunna, maar khana uska nitya karma ban gaya tha. Kismat ne bhi kya khel khela tha uske saath. Jo ladka kal tak sab ki help ke liye hamesha tayyar rehta tha aaj usko koi poochne wala bhi nahin tha.
Jay ki aankhon se aansu beh rahe the. Usne Jawed ko kaha “To tumne mujhe kyun nahin bataya bhai. Kya mujh par bharosa nahin tha. Kya tumhe lagta tha ki auron ki tarah mein bhi tumse muh pher loonga.”
Jawed: “Yaar kaisi baat kar raha hai. Tum par to mujhe apne aap se bhi jyada bharosa hai. Lekin, bura mat manna, tumhare ghar ki haalat bhi bahut achhi nahin thi aur main nahin chahta tha ki meri wajah se tum par atirikta bojh pade. Doosra main muslim hoon to samaj kya kehta. Milna julna to theek tha lekin ek saath ek hi ghar mein rehna kya sahi tha”
Jay: “Aisa bolkar to aapne mujhe paraya bana diya. Bas itna hi bharosa tha aapko mujh par. Kya main is layak bhi nahin ki aapke ghamon mein aapka saath de sakta. Shayad is layak nahin hun tabhi to pehle mera pyaar mujhe chod kar chala gaya aur ab ek dost jo bhai se bhi badhkar tha wo bhi aisi baatein kar raha hai”
Jawed: “Nahin bhai aisa to main soch bhi nahin sakta. Lekin dheere dheere sab theek ho gaya. Ek Din Achanak jab main bhookha pyaasa kaam ki talash mein bhatak raha tha aur har jagah se dutkaar aur maar kha raha tha to Mr. Sikander Sinha se meri mulakat huyi. Shehar ke chand rahison mein se ek hain wo. Shayad tujhe pata ho ya na ho lekin wohi Sonali ke sasur bhi hain”
Jay: “Haan mujhe pata hai. Main Sinha ke ghar gaya tha aur Sonali se mulakat bhi ki thi maine. Bahut dukh jhel rahi hai wo” Aur itna kehte kehte Jay ka man udas ho gaya.
Jawed: “Sinha sahib ne mujhe sahara diya. Mera saara karz chuka diya. Apne paas kaam diya. Logon ke liye wo kuch bhi mayne rakhte hon lekin mere liye bhagwan se kam nahin hain. Aaj mere paas jo kuch bhi hai sab unki badaulat hai. Lekin is baar main dharm sankat mein hoon”
Jay: “Kyun kya hua?”
Iske baad Jawed ne Sinha dwara ladkiyon ki jasoosi se lekar unka apaharan kiye jaane ki koshish tak ki saari baatein Jay ko bata di. Jay ka khoon khaul utha Sinha ki aisi harkat dekhkar lekin kahin Jawed ko bura na lage isliye usne apne expressions ko jaahir nahin hone diya.
Iske baad dono kaafi der tak baatein karte rahe aur dono ne milkar faisla liya ki Sinha ko kidnapping mein kamyaab nahin hone denge lekin use koi aanch bhi nahin aani chahiye ye Jawed ki request thi. Dono ne sab doston ke saath milkar iska raasta nikalne ki sochi aur sabke paas chal diye.
To be co
Saba
13-Jan-2022 08:48 PM
Great
Reply
Kareem
13-Jan-2022 08:27 PM
Nice
Reply
Ayra S
23-Dec-2021 04:08 PM
Great
Reply